28 Dec 2012

Ho na jaya husan ki shan

Ho na jaya husan ki shan, May gustakhi kaheen____!!

Tum chalay jao k, Tumhay dekh k piyar ata hy____!!

badban khulne se pahle ka ishara dekhna


badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna
kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna
aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye


Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere wajuud ke andar utar na jaaye
Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye ladakii kahiin dukh se mar na jaaye
palkon ko us kii apane dupatte se ponch duun
kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa koii us ke ghar na jaaye

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega


wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega
ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega
wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega
akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

tumhari nazron se lagta tha


tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte

bat shanasai ki


ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki
wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki
tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki

teri khushbu ka pata karti hai


teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai

khushboo mein likha chahta hai


harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai

aik lamhay ki tawajoo nahi hasil uss ki
aur yeh dil keh ussay hud say siwa chahta hai

ik hijaab teh e iqrar hai ma'nay manay warna
gul ko maloom hai kaya dast e saba chahta hai
rait he rait hai iss dil mein musafir mairay
aur yeah sehra taira naqash e qaf e pa chahta hai

yehe khamooshi kai rung mein zahir ho gi
aur kuch roz keh woh shokh khula chahta hai

raat ko maan liya dil nay muqadar laykin
raat kay haath pay aab koi diya chahta hai

tairay paymanay mein gardish nahi baqi saqi
aur tairi bezam say aab koi utha chahta hai

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha


hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi

mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya

kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha

magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

Hamne Kabhi Nahi chaha

Hamne Kabhi Nahi chaha__Ki Hame Ishq Ho..!!!

Par unki Ek Nazar__ne Hume__Nilaam Kar Diya…!!!

Sabab meri udasi ka

Sabab meri udasi ka wo pochain to kehna...

Tum yad aty ho mery sabar ki had sy kahin barh kar.


Woh Shakhs jab Se Mere

Woh Shakhs jab Se Mere, Ishq K
Nisaab May Hai..
Yeh jism-o-Rooh, Musalsal Azaab
May Hai. ....

Sulag Rahi hain na Jane Kis Aanch se

Sulag Rahi hain na Jane Kis Aanch se
Ankhen meri...??
Na Anso'oon ki talab hai na RatJago
ki Jalan...!!

Tera gharoor dekh k teri tamana

Tera gharoor dekh k teri tamana hi chor di humne

Zara hum bhi to dekhain kon chahta hai tujhy hamari trah 

hadse

Kuch aise hadse bhi zindagi mein hote hain

K insan bach to jata hai magar zinda nahi rehta

December Ki Barish mein

December Ki Barish mein
Beeghtay Pairoon Se Pocho
Akela pan Kia Hai
Tanhaayee kise Kehtay hain
Seh Pehr Ki Dhoop Ko Tarasna
aur Barish mai Beghtay Rehna
Jangle Ki Rahoon mai Akelay jana
Uss kay Garam Hathoon Ki Chaah Ko Tarasna
aur Barish mai Beeghtay Rehna
December Ki Barish mai
Lehr der lehr Mehakti Hawa Se Pocho
Khushboo Sa Khayal Rakhnay Walay Tanha Kaisey Rehtay Hain
Beeghtee Hain Jab Sard Ratein
December Ki Barish Se kaho
Kabhi Jangle Kay Uss Paar Milay
dhaltay hoon Shaam Kay Saaye
Tu Inn Ankhoon se Milay